Woh din bhi thhe
Yeh din bhi hein
Kab hawa ka rukh badal gaya
Patha hi nahi chala
Aap aage nikal gaye
Hum wahin ke wahin reh gaye....
Socha, ek hi rasta hei dono ka
Gungunaathe chal padde
Kab peir fisla, kab haath chhoott gaya
Patha hi nahi chala
Aap nazroñ se dhundhle hothe gaye
Hum raah dekhte reh gaye....
Kabhie hum-pe naaz thha
Kehthe thhe, Maa Shakti ki dein ho tum
Kab kaanch ki gudiya banaa diye gaye
Patha hi nahi chala
Aap toh giraa ke chal diye
Hum tukdoñ ko samet-the reh gaye....
Par yeh math sochna ki hum aañsuon mein beh gaye
Yeh math samajhna ki hum toot gaye
Bhale hi johari ne iss heere ka mol nahi jaana
Humeiñ apna saath toh mil gaya
Bas apnoñ ka saath chhoot gaya....
Comments